koi mausam ka jhaunka tha
jo is deewar pe latki tasveer tirchi kar gaya hai,
gaye saawan mein ye deewarin yun seeli nahi thi..
na jaane kyun is dafa in mein seelan aa gayi hai,
dararein pad gayi hai....
aur seelan is tarah badti hai jaise,
khushq rukhsaron pe geele aanso chalte hain.
ye baarish gungunati thi
isi chat ki munderon par
ye ghar ki khidkiyon ke kaanch par ungli se likh jaati thi sandese
girti rahti hai baithi hui ab band roshandano ke peeche.
dupehrein aisi lagti hain,
bina muhron ke khaali khaane rakhein hain
na koi khelne waala hai baazi
aur na koi chaal chalta hai
na din hota hai ab na raat hoti hai sabhi kuch ruk gaya hai
wo kya mausam ka jhonka tha jo is deewar par latki hui tasweer tirchi kar gaya hai....
an excerpt from piya tora kaisa abhimaan by Gulzar
Saturday, July 28, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment